bahut  tārīk  sahrā  ho  gayā  hai
havā  kā  shor  gahrā  ho  gayā  hai
kisī  ke  lams  kā  ye  mojaza  hai
badan  saarā  sunahrā  ho  gayā  hai
ye  dil  dekhūñ  ki  jis  ke  chaar  jānib
tirī  yādoñ  kā  pahrā  ho  gayā  hai
vahī  hai  ḳhāl-o-ḳhad  meñ  raushnī  sī
pe  til  āñkhoñ  kā  gahrā  ho  gayā  hai
kabhī  us  shaḳhs  ko  dekhā  hai  tum  ne
mohabbat  se  sunahrā  ho  gayā  hai