hamāre  shahr  meñ  aane  kī  sūrat  chāhtī  haiñ
havā.eñ  bāryābī  kī  ijāzat  chāhtī  haiñ
parindoñ  se  dar-o-dīvār  ḳhālī  ho  ga.e  haiñ
mirī  āñkheñ  nagar  ko  ḳhūbsūrat  chāhtī  haiñ
likhe  bhī  jaao  lauh-e-ḳhāk  par  naqsh-e-udāsī
ki  aatī  sā.ateñ  harf-e-shahādat  chāhtī  haiñ
diloñ  meñ  qaid  nā-āsūda  saarī  iltijā.eñ
hisār-e-harf  meñ  aane  kī  mohlat  chāhtī  haiñ
zabānoñ  par  likhī  zaḳhm-e-zabāñ  kī  lazzateñ  ab
dar-o-dīvār  par  rañg-e-jarāhat  chāhtī  haiñ
bahut  se  ḳhvāb  in  meñ  dhund  ban  kar  rah  ga.e  haiñ
ye  āñkheñ  izn-e-girya  kī  sa.ādat  chāhtī  haiñ