kātatā  huuñ  rāt-bhar  apne  lahū  kī  dhaar  ko
khīñchtā  huuñ  is  tarah  inkār  se  iqrār  ko
be-qarārī  kuchh  to  ho  vaj.h-e-tasallī  ke  liye
bhīñch  kar  rakhtā  huuñ  siine  se  firāq-e-yār  ko
apnī  gustāḳhī  pe  nādim  huuñ  magar  kyā  ḳhuub  hai
dhuup  kī  dīvār  par  likhnā  shabīh-e-yār  ko
aise  kaTtā  hai  jigar  aise  lahū  hotā  hai  dil
kaise  kaise  āzmātā  huuñ  nafas  kī  dhaar  ko
nāchtā  hai  mere  nabzoñ  meñ  ḳharosh-e-ḳhūñ  ke  saath
dhaḌkaneñ  gintī  haiñ  us  ke  paañv  kī  raftār  ko
reza  reza  chun  rahā  huuñ  jism-o-jāñ  kī  sā.ateñ
Dhā  rahā  hai  koī  merī  umr  kī  dīvār  ko
ek  saa.at  kī  judā.ī  bhī  nahīñ  mujh  ko  qubūl
saath  rakhtā  huuñ  sadā  yād-e-firāq-e-yār  ko