Majid Siddiqui

dhoka tha har ek barg pe TuTe hue par ka

Majid Siddiqui

dhokā thā har ik barg pe TuuTe hue par kā
vā jis ke liye rah gayā dāmān sharar kā
maiñ ashk huuñ maiñ os kā qatra huuñ sharar huuñ
andāz baham hai mujhe paanī ke safar kā
karvaT sī badaltā hai añdherā to use bhī
de dete haiñ ham sādā-manush naam sahar kā
tohmat sī liye phirte haiñ sadiyoñ se sar apne
rusvā hai bahut naam yahāñ ahl-e-hunar kā
qaa.em na rahā ḳhaak se jab rishta-e-jāñ to
bas dhuul pata pūchhne aatī thī shajar kā
jo shaah ke kāñdhoñ kī vajāhat kā sabab hai
dekho to bhalā taaj hai kis kāsa-e-sar kā
ashkoñ se tapāñ hai kabhī aahoñ se ḳhunuk hai
ik umr se 'mājid' yahī mausam hai nagar kā
Top Urdushayar.com