Farogh Hyderabadi

dil nahin milne ka phir mera sitamgar TuT kar

Farogh Hyderabadi

Hyderabad, Telangana, India

-1929

dil nahīñ milne phir merā sitamgar TuuT kar

chiiz ye aisī nahīñ juḌ jā.egī jo phuuT kar

aaj hai dil meñ mire kal hai adū aañkh meñ

tujh meñ bhar hai ye aisī kis ne shoḳhī kuuT kar

apne begānoñ nazreñ paḌ rahī haiñ aap par

vaah kyā nām-e-ḳhudā niklī javānī phuuT kar

us dushman se ta.alluq us dushman se milāp

sun rahā huuñ āj-kal jo kuchh ilāhī chhūT kar

ab kahāñ nazzāra-e-gul ab kahāñ lutf-e-chaman

ek aafat meñ paḌe haiñ ham qafas se chhūT kar

be-ḳhabar sotā hai koī sej par ārām se

hichkiyāñ le le ke koī ro rahā hai phuuT kar

dil na pighle aur kis dil mirā dil haif hai

nāznīñ phir nāznīñ tujh jo ro.e phuuT kar

ye na mānegā na samjhā.e se samjhegā kabhī

tujh pe dil aayā hai merā ai sitamgar TuuT kar

yās-o-ġham rañj-o-alam ne kar liyā hai dil meñ ghar

ai ḳhushī-e-vasl-e-jānāñ aa.e din bhī phuuT kar

uf re zauq-e-justujū allāh re shauq-e-kū-e-dost

gard-e-rah pīchhe rahī jaatī hai mujh se chhūT kar

ḳhaak uḌtī hai dil-e-vīrāñ meñ ab rakkhā hai kyā

yaas sab kuchh le ga.ī armān-o-hasrat luuT kar

kyuuñ satātā hai 'faroġh'-e-mubtalā ko is qadar

dil nahīñ juḌtā nahīñ juḌtā sitamgar TuuT kar

Top Urdushayar.com