Farogh Hyderabadi

is qadar mahw-e-tasawwur hun sitamgar tera

Farogh Hyderabadi

Hyderabad, Telangana, India

-1929
is qadar mahv-e-tasavvur huuñ sitamgar terā
mujh ko ġhurbat meñ nazar aane lagā ghar terā
nashsha-e-mai kī bujhī pyaas na kuchh bhī afsos
naam sunte the baḌā chashma-e-kausar terā
apne pāmālī-e-dil kā mujhe afsos nahīñ
dekh zālim na bigaḌ jaa.e kahīñ ghar terā
vo bhī haiñ log jo ham-bazm rahā karte the
ham to jiite haiñ faqat naam hī le kar terā
jalva-e-tūr ko kuchh us kī nazar se bhāñpā
jis ne dekhā hai jamāl-e-ruḳh-e-anvar terā
zindagī us kī nasīb us ke haiñ rāteñ us kī
jis ko ho jalva-e-dīdār mayassar terā
ham ne koshish to bahut kī thī use laane kī
ai 'faroġh'-e-jigar-afgār muqaddar terā
Top Urdushayar.com