Khaleel Tanveer

wahan pahunch ke har ek naqsh-e-gham paraya tha

Khaleel Tanveer

Udaipur, Rajasthan, India

1944
vahāñ pahuñch ke har ik naqsh-e-ġham parāyā thā
vo rāsta ki jahāñ hausla bhī haarā thā
bahut aziiz the us ko safar ke hañgāme
vo sab ke saath chalā thā magar akelā thā
vo zaḳhm zaḳhm thā tīra-shabī ke dāman meñ
laboñ pe phuul nazar meñ kiran bhī rakhtā thā
ajiib shaḳhs thā us ko samajhnā mushkil hai
kinār-e-āb khaḌā thā magar vo pyāsā thā
use ḳhabar thī ki āshob-e-āgahī kyā hai
vo dard-o-ġham jise apnī zabāñ meñ kahtā thā
Top Urdushayar.com