junūn-e-ishq  jise  sar-phirā  banā  degā
pahāḌ  kaaT  ke  vo  rāsta  banā  degā
ḳhumār-e-husn  salāmat  rakhe  ḳhudā  us  kā
jahāñ  vo  chāhe  vahāñ  mai-kadā  banā  degā
usī  ke  qabza-e-qudrat  meñ  haiñ  sabhī  ke  dil
vo  jis  ko  chāhe  use  pārsā  banā  degā
ghirā  huā  mujhe  dekhegā  jab  nadāmat  meñ
vo  merī  aah  ko  harf-e-duā  banā  degā
mirā  zamīr  hī  ab  merā  rahnumā  Thahrā
ye  har  maqām  pe  mujh  ko  baḌā  banā  degā
jo  dekh  legā  tumheñ  koī  manchalā  mausam
tumhārī  zulf  se  kaalī  ghaTā  banā  degā
tū  dūsroñ  se  hai  bartar  na  ye  samajh  'rahbar'
ye  e'tibār  tujhe  khokhlā  banā  degā