ai  ġhazal  terī  nazar  jab  se  utārī  ham  ne
rakh  diyā  naam  tirā  rāj-kumārī  ham  ne
is  liye  ġham  ko  banā  rakkhā  hai  apnā  sāthī
tujh  ko  de  dī  hai  ḳhushī  saarī  kī  saarī  ham  ne
dil  ke  jazbāt  zamāne  ko  batāne  ke  liye
sher-goī  kā  safar  rakkhā  hai  jaarī  ham  ne
dard-e-furqat  meñ  na  so  pāoge  ab  chain  se  tum
niiñd  āñkhoñ  se  churā  lī  hai  tumhārī  ham  ne
jo  kahā  tujh  se  akele  meñ  kahā  ai  zālim
aabrū  kab  tirī  mahfil  meñ  utārī  ham  ne
naqd  hai  ishq  kā  saudā  ye  huā  jab  ma.alūm
is  meñ  rakkhī  hī  nahīñ  koī  udhārī  ham  ne
haiñ  kahāñ  jin  pe  adab  kā  thā  kabhī  dār-o-madār
ab  to  stage  pe  dekhe  haiñ  madārī  ham  ne
ye  haqīqat  hai  tumheñ  koī  nahīñ  pūchhegā
kyā  karoge  jo  kabhī  toḌ  dī  yaarī  ham  ne
un  se  bichhḌe  haiñ  to  phir  niiñd  na  aa.ī  'rahbar'
taare  gin  gin  ke  har  ik  raat  guzārī  ham  ne