ḳhud  ko  kabhī  jo  ḳhud  se  milānā  paḌā  hameñ
chehre  ke  paas  ā.īna  laanā  paḌā  hameñ
tanhā.iyoñ  kā  dard  bhulāne  ke  vāste
ḳhud  apne  ghar  meñ  shor  machānā  paḌā  hameñ
muddat  ke  baad  ho  gayā  jab  un  se  sāmnā
nākām  hasratoñ  ko  jagānā  paḌā  hameñ
is  dasht-e-kā.enāt  meñ  jiine  ke  vāste
soz-e-ġham-e-hayāt  bhulānā  paḌā  hameñ
ban  jaa.e  phir  na  ek  tamāsha  ye  soch  kar
duniyā  se  apnā  dard  chhupānā  paḌā  hameñ
kuchh  tīrgī-pasand  kal  aa.e  the  is  liye
bastī  kā  har  charāġh  bujhānā  paḌā  hameñ
sūraj  kā  zulm  aur  baḌhegā  ye  jab  sunā
āñgan  meñ  ek  peḌ  lagānā  paḌā  hameñ
aisā  bhī  vaqt  ālam-e-ġhurbat  meñ  aa  gayā
bachchoñ  ko  bhūke  peT  sulānā  paḌā  hameñ
'rahbar'  hamāre  vāste  manzil  nahīñ  chalī
manzil  kī  samt  chal  ke  ḳhud  aanā  paḌā  hameñ