aise  jazbāt  meñ  lahje  ko  na  patthar  kiije
guftugū  mujh  se  zarā  aap  sambhal  kar  kiije
ye  na  ho  aap  kī  tahrīr  hī  bāġhī  ho  jaa.e
zulm  itnā  bhī  na  qirtās-o-qalam  par  kiije
mujh  se  ranjish  hai  to  maidān  meñ  aa  jā.iye  aap
merī  tasvīr  ke  TukḌe  na  bahattar  kiije
merā  da.avā  hai  ki  hālāt  badal  jā.eñge
sāmnā  aap  jo  hālāt  kā  DaT  kar  kiije
chāhte  aap  haiñ  jo  zehn  kushāda  rakhnā
buġhz-o-nafrat  ke  ḳhayālāt  ko  bāhar  kiije
dūsroñ  par  to  karam  aap  kā  rahtā  hai  magar
ik  nazar  merī  bhī  jānib  mire  dilbar  kiije
baat  bantī  hai  mohabbat  se  bhī  aksar  'rahbar'
dil  meñ  paivast  na  alfāz  ke  nashtar  kiije