ik  ajnabī  ḳhayāl  meñ  ḳhud  se  judā  rahā
niiñd  aa  ga.ī  thī  raat  magar  jāgtā  rahā
sañgīn  hādsoñ  meñ  bhī  hañstī  rahī  hayāt
patthar  pe  ik  gulāb  hamesha  khilā  rahā
duniyā  ko  us  nigāh  ne  dīvāna  kar  diyā
maiñ  vo  sitam-zarīf  ki  bas  dekhtā  rahā
ik  ajnabī  mahak  sī  lahū  meñ  rachī  rahī
naġhma  sā  jān-o-tan  meñ  koī  gūñjtā  rahā
ab  jā  ke  ye  khulā  ki  har  ik  shaḳhs  dosto
har  shaḳhs  ko  libās  se  pahchāntā  rahā
fikr-e-suḳhan  meñ  raat  jo  aayā  ḳhayāl-e-'mīr'
tā-der  Diary  pe  qalam  kāñptā  rahā
'sāġhar'  tamām  umr  kī  gardish  ke  bāvajūd
maiñ  us  nigāh-e-nāz  se  nā-āshnā  rahā