kuchh  to  vafā  kā  rañg  ho  dast-e-jafā  ke  saath
surḳhī  mire  lahū  kī  milā  lo  hinā  ke  saath
ham  vahshiyoñ  se  hosh  kī  bāteñ  fuzūl  haiñ
paivand  kyā  lagā.eñ  darīda-qabā  ke  saath
sadiyoñ  se  phir  rahā  huuñ  sukūñ  kī  talāsh  meñ
sadiyoñ  kī  bāzgasht  hai  apnī  sadā  ke  saath
parvāz  kī  umañg  na  kunj-e-qafas  kā  rañj
fitrat  mirī  badal  ga.ī  āb-o-havā  ke  saath
kyā  pattharoñ  ke  shahr  meñ  dūkān-e-shīsha-gar
ik  sham.a  jal  rahī  hai  ġhazab  kī  havā  ke  saath