Taruna Mishra

kya main jugnu ko aaftab karun

Taruna Mishra

Nainital, Uttarakhand, India

1966

kyā maiñ jugnū ko āftāb karūñ

charāġhoñ intiḳhāb karūñ

dil ye kahtā hai inqalāb karūñ

pesh us ko maiñ ik gulāb karūñ

vaqt ne kyā nahīñ diyā mujh ko

be-sabab vaqt kyuuñ ḳharāb karūñ

sar paTak kar ab us ke kūche meñ

apnī taqdīr se hisāb karūñ

maiñ karūñ phir koī savāl nayā

aur phir us ko lā-javāb karūñ

zindagī ne to haar maan

kam-se-kam maut kāmyāb karūñ

sab ke chehre pe ek chehra hai

kis chehra maiñ be-naqāb karūñ

Top Urdushayar.com