Rafi Raza

raat main shana-e-idrak se lag kar soya

Rafi Raza

Chenab Nagar, Punjab, Pakistan

1962

raat maiñ shāna-e-idrāk se lag kar soyā

band aañkh to aflāk se lag kar soyā

ūñghtā thā kahīñ mehrāb sarshārī meñ

ik diyā kisī chaqmāq se lag kar soyā

ek jaltā huā aañsū jo nahīñ sotā thā

der tak dīda-e-namnāk se lag kar soyā

an-ginat āñkheñ mire jism pe chuñdhyā.ī rahīñ

buqa-e-nūr mirī ḳhaak se lag kar soyā

kūza-gar ne mire baare meñ ye daftar meñ likhā

chaak se utrā magar chaak se lag kar soyā

niiñd shart thī tanhā nahīñ sonā mujh ko

hijr thā so usī saffāk se lag kar soyā

raat kāñToñ pe guzārī to savere sochā

kis liye ḳhema-e-ushshāq se lag kar soyā

niiñd suulī pe chalī aa.ī sau zaḳhm-e-uryāñ

apnī ik ḳhvāhish-e-poshāk se lag kar soyā

Top Urdushayar.com