Rafi Raza

lams ko chhoD ke KHushbu pe qanaat nahin karne wala

Rafi Raza

Chenab Nagar, Punjab, Pakistan

1962

lams ko chhoḌ ke ḳhushbū pe qanā.at nahīñ karne vaalā

aisī-vaisī to maiñ ab tum se mohabbat nahīñ karne vaalā

mujh se behtar koī duniyā meñ kitābat nahīñ karne vaalā

par tire hijr maiñ jald ishā.at nahīñ karne vaalā

apne jism ko kal us ne mirī āñkhoñ se puurā dekhā

is se baḌh kar koī manzar kabhī hairat nahīñ karne vaalā

maz.hab-e-ishq se mansūb ye bāteñ to ḳhārij haiñ

shām-e-hijrāñ maiñ kisī taur maiñ shirkat nahīñ karne vaalā

aisī bhagdaḌ meñ koī paaoñ tale aa.e to shikva na kare

gir gayā maiñ to koī mujh se ri.āyat nahīñ karne vaalā

lau larazne koī aur matlab na nikal aa.e kahīñ

pūchhne par bhī charāġh aur vazāhat nahīñ karne vaalā

mujhe chalte hue raste ke shajar dekhte jaate haiñ 'razā'

par mire saath ukhaḌ kar koī hijrat nahīñ karne vaalā

Top Urdushayar.com