tumhārā  qurb  vaj.h-e-iztirāb-e-dil  na  ban  jaa.e
ye  mushkil  sahl  ho  kar  phir  kahīñ  mushkil  na  ban  jaa.e
are  o  tishna-lab  ye  pyaas  ye  andāz  piine  kā
samundar  ghaTte  ghaTte  duur  tak  sāhil  na  ban  jaa.e
ye  mashkūk  aadmī  luuTe  haiñ  jis  ne  kārvāñ  barsoñ
duā  māñgūñ  kahīñ  ye  rahbar-e-manzil  na  ban  jaa.e
chalā  to  huuñ  tirā  baḳhshā  huā  zauq-e-talab  le  kar
ḳhayāl  is  kā  rahe  ye  sa.i-e-lā-hāsil  na  ban  jaa.e
jise  merī  mohabbat  ne  sarāpā  lutf  samjhā  hai
kisī  ruḳh  se  vahī  insāñ  mirā  qātil  na  ban  jaa.e
nazar  apnī  rahe  us  vaqt  tak  mamnūn-e-nazzāra
dil-e-jalva-talab  jab  tak  mah-e-kāmil  na  ban  jaa.e
kisī  ko  'ramz'  mazlūmī  ke  is  ehsās  ne  maarā
vo  apnoñ  kī  nazar  meñ  rahm  ke  qābil  na  ban  jaa.e