tumhāre ḳhvāb mire saath saath chalte haiñ
ka.ī sarāb mire saath saath chalte haiñ
tumhārā ġham ġham-e-duniyā ulūm-e-āgāhī
sabhī azaab mire saath saath chalte haiñ
isī liye to maiñ uryāniyoñ se huuñ mahfūz
bahut hijāb mire saath saath chalte haiñ
na jaane kaun haiñ ye log jo ki sadiyoñ se
pas-e-naqāb mire saath saath chalte haiñ
maiñ be-ḳhayāl kabhī dhuup meñ nikal aa.uuñ
to kuchh sahāb mire saath saath chalte haiñ