har  na.ī  shaam  ye  ehsās  huā  ho  goyā
merā  saaya  mire  paikar  se  baḌā  ho  goyā
tere  lahje  meñ  to  thī  hī  tirī  talvār  kī  kaaT
terī  yādoñ  meñ  bhī  ab  zahar  milā  ho  goyā
pichhle  mausam  meñ  sabhī  girya-kunāñ  the  magar  ab
chashm-e-ḳhūñ-rañg  meñ  sailāb  rukā  ho  goyā
chāñd  niklā  to  mirī  zaat  ko  andāza  huā
us  ne  chupke  se  mirā  naam  liyā  ho  goyā
chun  liyā  maiñ  ne  to  phir  apnī  mohabbat  kā  ḳhudā
us  ko  ab  bhī  hai  gumāñ  merā  ḳhudā  ho  goyā
ek  muddat  se  ḳhalāoñ  meñ  thiiñ  āñkheñ  raushan
ab  ye  aalam  hai  ki  āñkhoñ  meñ  ḳhalā  ho  goyā
phuul  khilne  ko  to  naqqāsh  khile  ḳhvāb  magar
mere  zaḳhmoñ  ke  chaTaḳhne  kī  sadā  ho  goyā