TuuTā  hai  aaj  abr  jo  is  ān-bān  se
barsegā  kal  lahū  bhī  tire  āsmān  se
ye  kis  ke  dil  kī  aag  se  jalte  haiñ  bām-o-dar
sho.ale  se  uTh  rahe  haiñ  badan  ke  makān  se
sūraj  kī  tez  dhuup  se  shāyad  amaañ  mile
ruktī  hai  ġham  kī  dhuup  kahīñ  sā.ebān  se
chehroñ  pe  gard  āñkhoñ  meñ  nīndeñ  fazā  ḳhamosh
sustā  rahe  haiñ  log  safar  kī  takān  se
hai  apnī  apnī  tāqat-e-parvāz  kā  kamāl
matlab  kisī  ko  kyā  tirī  ūñchī  uḌaan  se
āḳhir  chaTaḳh  chaTaḳh  ke  bikharne  lagā  huuñ  maiñ
Takrā  gayā  thā  raat  ḳhud  apnī  chaTān  se
phirte  haiñ  shahr-e-dard  meñ  jo  be-dilī  ke  saath
'naqqāsh'-kāzmī  haiñ  vahī  naujavān  se