lamha  lamha  biit  chukā  hai  ab  jo  tum  pachhtāo  to  kyā
bhūlī-bisrī  yādeñ  sab  ke  aage  bhī  doharāo  to  kyā
kaun  parāyā  dard  sameTe  kaun  kisī  kā  yaar  bane
apnā  zaḳhm  hai  apnā  pyāre  logoñ  ko  dikhlāo  to  kyā
pahle  to  tum  aag  lagā  kar  sab  kuchh  jaltā  chhoḌ  ga.e
dīvāreñ  tārīk  huī  haiñ  ab  is  ghar  meñ  aao  to  kyā
us  kā  chehra  us  kī  āñkheñ  us  ke  lab  vo  baat  kahāñ
rañg-birañgī  aḳhbāroñ  kī  tasvīreñ  dikhlāo  to  kyā
maiñ  ik  aisā  peḌ  huuñ  jis  par  baiTh  ke  sab  uḌ  jaate  haiñ
tum  bhī  merī  shāḳh  pe  aa  kar  baiTho  aur  uḌ  jaao  to  kyā
soch  kī  dhuup  to  kyā  kam  hogī  soch  kī  kirneñ  aam  huiiñ
raat  ke  saa.e  mere  sar  ke  sūraj  par  phailāo  to  kyā
toḌ  ke  pairoñ  kī  zanjīreñ  maidānoñ  kā  azm  karo
apne  garebānoñ  ke  parcham  kamroñ  meñ  lahrāo  to  kyā
apne  badan  ko  sūrat  aisī  nazr-e-salīb-e-zulm  karo
sone  kī  ma.asūm  salībeñ  sīnoñ  par  laTkāo  to  kyā
kyā  kyā  sher  kiye  haiñ  tum  ne  naqsh  ġhazal  kī  sūrat  meñ
ham  tum  ko  'naqqāsh'  kaheñge  tum  shā.ir  kahlāo  to  kyā