kuchh  na  kuchh  ahd-e-mohabbat  kā  nishāñ  rah  jaa.e
aag  bujhtī  hai  to  bujh  jaa.e  dhuāñ  rah  jaa.e
dasht-dar-dasht  uḌe  merā  ġhubār-e-hastī
āb-bar-āb  mirā  nām-o-nishāñ  rah  jaa.e
muntazir  kaun  hai  kis  kā  ye  use  kyā  ma.alūm
us  kī  manzil  hai  vahī  jo  bhī  jahāñ  rah  jaa.e
yuuñ  to  kahne  ko  bahut  kuchh  thā  ġhazal  meñ  lekin
lutf  kī  baat  vahī  hai  jo  nihāñ  rah  jaa.e