dahan  ko  zaḳhm  zabāñ  ko  lahū  lahū  karnā
azīzo  sahl  nahīñ  us  kī  guftugū  karnā
khule  darīcho  ko  taknā  to  hāo-hū  karnā
yahī  tamāsha  sar-e-shām  kū-ba-kū  karnā
jo  kaam  mujh  se  nahīñ  ho  sakā  vo  tū  karnā
jahāñ  meñ  apnā  safar  misl-e-rañg-o-bū  karnā
jahāñ  meñ  aam  haiñ  nukta-shanāsiyāñ  us  kī
tum  ek  lafz  meñ  tashrīh-e-ārzū  karnā
dil-e-tabāh  kī  īzā-parastiyāñ  ma.alūm
jo  dastaras  meñ  na  ho  us  kī  justujū  karnā
maiñ  us  kī  zaat  se  inkār  karne  vaalā  kaun
na  ho  yaqīñ  to  mujhe  us  ke  rū-ba-rū  karnā
jo  harf  likhnā  use  lauh-e-āb  par  likhnā
jo  naqsh  karnā  sar-e-sat.h-e-ābjū  karnā