ik  pal  kī  dauḌ  dhuup  meñ  aisā  thakā  badan
maiñ  ḳhud  to  jāgtā  huuñ  magar  so  gayā  badan
bachcha  bhī  dekh  le  to  humak  kar  lapak  paḌe
aisī  hī  ek  chiiz  hai  vo  dūdhiyā  badan
jī  chāhtā  hai  haath  lagā  kar  bhī  dekh  leñ
us  kā  badan  qabā  hai  ki  us  kī  qabā  badan
jab  se  chalā  hai  tañg  qamīsoñ  kā  ye  rivāj
nā-āshnā  badan  bhī  lage  āshnā  badan
gañgā  ke  pāniyoñ  sā  pavitra  kaheñ  jise
āñkhoñ  ke  taT  pe  tairtā  hai  jo  gayā  badan
bistar  pe  tere  mere  sivā  aur  kaun  hai
mahsūs  ho  rahā  hai  koī  tīsrā  badan
dhartī  ne  mausamoñ  kā  asar  kar  liyā  qubūl
rut  phir  ga.ī  to  ho  gayā  us  kā  harā  badan
is  ko  kahāñ  kahāñ  se  rafū  kījiye  'nazar'
behtar  yahī  hai  oḌhiye  ab  dūsrā  badan