Prem Kumar Nazar

unT sab wapas phire aage koi sahra na tha

Prem Kumar Nazar

Hoshiarpur, Punjab, India

1936

uuñT sab vāpas phire aage koī sahrā na thā

naqsh-e-pā naqsh-e-pā the duur tak rasta na thā

apne andar kitne mausam aur bāhar zardiyāñ

maiñ fasīl-e-jism meñ jab thā to yuuñ phīkā na thā

phir khajūroñ ke daraḳhtoñ meñ dhuāñ kis liye

aag jab taapī na thī aur qāfila Thahrā na thā

kāġhzī poshāk meñ vo ghar se jab bāhar gayā

āsmāñ par abr ban kar maiñ abhī barsā na thā

har taraf bikhrī huī reg-e-nadāmat thī 'nazar'

jism chaḌhtā huā dariyā magar utrā na thā

Top Urdushayar.com