har-chand  ki  thā  hijr  meñ  andesha-e-jāñ  bhī
āḳhir  ko  to  ham  se  hī  uThā  bār-e-girāñ  bhī
ik  gosha-e-dar  rakkhā  hai  mahfūz  hamārā
is  vus.at-e-kaunain  meñ  ham  jaa.eñ  jahāñ  bhī
ma.adūm  bhī  huuñ  ahl-e-tamāshā  kī  nazar  meñ
bikhrā  hai  har  ik  samt  magar  merā  nishāñ  bhī
kuchh  kam  na  huā  rizq  ḳhudā  tere  gadā  par
har  chand  ki  galiyoñ  meñ  uThā  shor-e-sagāñ  bhī
kaam  aatī  hai  akasr  to  yahī  ḳhāna-badoshī
rakhne  ko  to  ham  shahr  meñ  rakhte  haiñ  makāñ  bhī
us  vaqt  ajab  hotā  hai  tarsīl  kā  aalam
lafzoñ  ko  taras  jaate  haiñ  jab  ahl-e-zabāñ  bhī