ġhalat-fahmī  hai  tum  ko  ham  tumhāre  to  nahīñ  haiñ
hamārī  aañkh  meñ  aise  ishāre  to  nahīñ  haiñ
hamāre  ho  to  phir  aao  hamārā  saath  bhī  do
masā.il  zindagī  ke  sab  hamāre  to  nahīñ  haiñ
udāsī  ko  udāsī  kyuuñ  nahīñ  taslīm  karte
mirī  palkoñ  pe  aañsū  haiñ  sitāre  to  nahīñ  haiñ
maiñ  bāhar  ḳhvāb  se  aa  bhī  ga.ī  to  kyā  karūñgī
mirī  duniyā  meñ  kuchh  achchhe  nazāre  to  nahīñ  haiñ
mahāz-ārā.ī  jaarī  hai  abhī  so  laḌ  rahe  haiñ
abhī  ham  laḌ  rahe  haiñ  jañg  haare  to  nahīñ  haiñ
magar  ye  kaise  aalam  aa  rahe  haiñ  yaad  mujh  ko
ki  aise  roz-o-shab  maiñ  ne  guzāre  to  nahīñ  haiñ
parī  kahte  ho  mujh  ko  aur  kabhī  tum  huur  sāhab
hamāre  ḳhāl-o-ḳhad  kuchh  itne  pyāre  to  nahīñ  haiñ