Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

marte dam nam tera lab ke jo aa jae qarib

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

Delhi, India

1769-1851
marte dam naam tirā lab ke jo aa jaa.e qarīb
jī ko ThanDak ho tap-e-ġham na mire aa.e qarīb
bosa māñgūñ to kaheñ mujh se ye bulvā ke qarīb
kis kā muñh hai jo mire muñh ke vo muñh laa.e qarīb
haath dauḌā.ūñ na kyuuñ jabki vo yuuñ aa.e qarīb
paañv phailā.ūñ na kyuuñ paañv jo phailā.e qarīb
paas aa.uuñ to kahe pās-e-adab bhī hai zarūr
duur jā.ūñ to vahāñ jaa.e taqāzā-e-qarīb
mujh ko ai pīr-e-muġhāñ mohtasib-e-nā-hanjār
qurb-e-mahshar hai ki be-qurbī se bulvā.e qarīb
ġham-e-dūrī se tire kūche ke royā āshiq
vaañ se jab rauza-e-rizvān use laa.e qarīb
merī bedārī se ai daulat-e-bedār ho kyā
baḳht jāgeñ jo mujhe apne to bulvā.e qarīb
mere nāloñ se na din chain na shab ko hai qarār
marg ke pahuñche haiñ ab to mire ham-sā.e qarīb
aisī majlis se agar rahiye ba.iid aulā hai
dil dimāġh apnā to vo aur ye ġhauġhā-e-qarīb
paas jā.ūñ to machal kar kahe chal yaañ se duur
duur baiThūñ to ghuḌak kar mujhe farmā.e qarīb
ishq ke pech meñ huuñ chāhiye hamdam pas-e-marg
ishq-e-pechāñ hī mirī qabr ke lagvā.e qarīb
mushk-o-sandal ho tire rañg se bāloñ ham-sar
ġhussa dil ko mire kis tarah na aa jaa.e qarīb
kuchh radīf ab kī baḌhā qāfiya 'ehsāñ' tū badal
phir qarīb aise biThā tujh ko vo biThlā.e qarīb
Top Urdushayar.com