Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

sun rakh o KHak mein aashiq ko milane wale

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

Delhi, India

1769-1851
sun rakh o ḳhaak meñ āshiq ko milāne vaale
arsh-e-a.azam ke ye naale haiñ bulāne vaale
ye sadā sunte haiñ us kūche ke jaane vaale
jaan kar jaan na kho kaun hai aane vaale
chain tujh ko bhī na ho mujh ko satāne vaale
tū bhī ThanDā na rahe jī ke jalāne vaale
kab haiñ is dil se butāñ haath uThāne vaale
ye vo kāfir haiñ ki masjid ke haiñ Dhāne vaale
jañg hī gar tujhe manzūr hai phir aañkh laḌā
ye bhī ik jañg hai o aañkh laḌāne vaale
kī to ayyār sī sāzish hai vale ġhuncha-dahan
chuTkiyoñ meñ haiñ ye joban ke uḌāne vaale
un ke hañsne pe na jā un ke hañsāne se na hañs
tere hañsne pe jo hañste haiñ hañsāne vaale
bin-bulā.e tire aa kar tujhe bahkāte haiñ
saḳht nā-ḳhvāñda haiñ ye tujh ko paḌhāne vaale
ashk-e-ḳhūnīñ kī huuñ maiñ sail meñ Duubā rahtā
ye merā rañg hai o paan chabāne vaale
yuuñ gajar sub.h kā jaldī se baje vasl kī raat
are be-rahm are dil ke satāne vaale
guzrī jo mujh pe so guzrī hai na guzrī tujh par
ghaḌī ghaḌiyāl kī ghaḌiyāl bajāne vaale
kyuuñ na un nāloñ ko maiñ pā-e-ba-zanjīr rakhkhūñ
ai junūñ kaun haiñ ye ġhul ke machāne vaale
jab kahā maiñ ne ki sun haal kahā ta.an se ye
tum salāmat raho ahvāl sunāne vaale
paañv ko haath lagāyā tū lagā kahne sarak
tujh ko qurbān karūñ haath lagāne vaale
muttal.a matl.a-e-'ehsāñ' se tū ho rashk-e-qamar
tujh pe āshiq hue paiġhām ke laane vaale
Top Urdushayar.com