Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

mango ho abhi dil mujhe nadan samajh kar

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

Delhi, India

1769-1851
māñgo ho abhī dil mujhe nādān samajh kar
phir dūñgā javāb is kā mirī jaan samajh kar
bach jā.iyoñ kambaḳht mirī baḳht-e-siyah se
yaañ aa.iyo to ai shab-e-hijrān samajh kar
kyā kaam mah-e-nau se mujhe maiñ use har dam
dekhūñ huuñ tirā aks-e-garebān samajh kar
rañg apnā huā sunte hī multānī kī miTTī
to kiijo safar jānib-e-multān samajh kar
nau roz hai aur sāqī-e-kausar kā hai ab daur
iizā de mujhe gardish-e-daurān samajh kar
kalkatta meñ ulfat kī governor hai sadā ishq
āmāda ho tū rustam-e-dastān samajh kar
major ne junūñ kī hai ye tayyār kī palTan
haañ dekh saf-e-ḳhār-e-muġhīlān samajh kar
jarnail to sahrā meñ haiñ aur koh meñ karnail
hai shahr meñ chhoḌā mujhe kaptān samajh kar
kyā mohtasib-e-shahr kad-o-bair se legā
ham karte haiñ paimāna se paimān samajh kar
yārab maiñ kahāñ jā.ūñ ki har dam but-e-kāfir
iizā mujhe detā hai musalmān samajh kar
hub bakne lagā shab ko jo vo ġhusse se mun.im
ik rahm sā aayā mujhe hizyān samajh kar
armān se armān hai armān na tū ne
armān nikāle mire armān samajh kar
dil sard hai tum se ki ba-īñ garm tapā ke
yak shab bhī na yaañ so.e zamistān samajh kar
myaañ bos abhī lūñgā dharī rahvegī tarvār
gaalī na sunā sab ko tū yaksān samajh kar
Top Urdushayar.com