Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

fasurda dagh-e-jigar dil-ruba nahin rahta

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

Delhi, India

1769-1851

fasurda dāġh-e-jigar dil-rubā nahīñ rahtā

charāġh ishq hargiz bujhā nahīñ rahtā

baġhal meñ rashk se dil dil-rubā nahīñ rahtā

ḳhafā hai ye ki mujh se ḳhafā nahīñ rahtā

hamesha husn sun ai bevafā nahīñ rahtā

kabhī zamāna sadā ek nahīñ rahtā

bujhī jo sham.a to parvānoñ pe huā raushan

ki ba.ad-e-marg koī āshnā nahīñ rahtā

kahāñ vo girya vo naala vo jāñ-ba-lab rahnā

kisī kaam hamesha banā nahīñ rahtā

ḳhudā-na-ḳhāsta tum to sanam nahīñ aise

tumhāre dil meñ to kiina sadā nahīñ rahtā

kahā jo maiñ ne ki ai rashk-e-māh ghar meñ mire

mehrbānī se kyuuñ ik zarā nahīñ rahtā

lagā ye kahne ki haañ haañ hai ye bhī apnā shauq

nahīñ nahīñ nahīñ rahtā huuñ nahīñ rahtā

jo mujh ko kahiye maiñ āñkhoñ se zabt-e-girya karūñ

mirā qusūr nahīñ dil mirā nahīñ rahtā

yahāñ mujhe nasīhat ko haiñ sabhī maujūd

vahāñ to hosh kisī bajā nahīñ rahtā

ye dāġh-e-ishq hai kyūñ-kar na gul khile is

hazār is ko chhupāo chhupā nahīñ rahtā

jo dil liyā hai to bosa bhī do samajh rakkho

ki bad-mo.āmlagī meñ mazā nahīñ rahtā

lagā.ī taak hai kyuuñ mohtasib ne tujh pe dilā

agar duḳhtar-e-raz se bhalā nahīñ rahtā

na khīñch teġh 'ehsān' nā-tavān pe aah

miyāñ ye zor kisī sadā nahīñ rahtā

Top Urdushayar.com