Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

na ada mujhse hua us sitam-ijad ka haq

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

Delhi, India

1769-1851

na adā mujh se huā us sitam-ījād haq

merī gardan pe rahā ḳhanjar-e-bedād haq

nāseho gar na sunūñ maiñ mirī qismat qusūr

tum ne irshād kiyā jo ki hai irshād haq

yaad to haq tujhe yaad par yaad rahī

yaar dushvār hai vo yaad jo hai yaad haq

apnī tasvīr pe sadqe tire sadqe kar use

isī sūrat se adā hovegā bahzād haq

haq ko bātil koī kis tarah se kah de ai but

kahīñ saanī nahīñ us husn-e-ḳhudā-dād haq

jāñ-kanī pesha ho jis vo lahaq hai terā

tujh pe shīrīñ hai na ḳhusrav na farhād haq

bār-e-ehsāñ se nahīñ sar bhī uThā saktā huuñ

mere sar par rahā us mire jallād haq

sun ke kahtā hai yahāñ kaun hai suntā mat sun

sunñe vaalā sunā is mirī fariyād haq

vahī insān hai 'ehsāñ' ki jise ilm hai kuchh

haq ye hai baap se afzūñ rahe ustād haq

Top Urdushayar.com