Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

main yan baiTha to tum wan uTh gae ai yar kya bais

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

Delhi, India

1769-1851
maiñ yaañ baiThā to tum vaañ uTh ga.e ai yaar kyā baa.is
hue be-dil hī apne aap kyuuñ bezār kyā baa.is
ināyat kī nahīñ aglī se ab āsār kyā baa.is
kiye haiñ band tum ne raḳhna-e-dīvār kyā baa.is
kahā maiñ ne mire ghar bhī kabhū aaoge ye bole
maiñ kyuuñ aa.uuñ mujhe kyā vāsta kyā kaar kyā baa.is
niDar lā-taqnatū paḌh kar gunāhoñ se thā maiñ apne
ye vaa.iz kyuuñ Darāte haiñ mujhe ġhaffār kyā baa.is
tumhārī ḳhātir-vātir meñ ai gul-rū ye kyā aayā so
mujhe kyuuñ dekh kar hañste ho tum har baar kyā baa.is
faqat ik diid ko nādīda dil aur diida hai apnā
to ai be-dīd dikhlātā nahīñ dīdār kyā baa.is
pas-e-murdan mirī bālīñ pe ro kar ye lage kahne
tū kyuuñ chupkā paḌā hai āshiq-e-bīmār kyā baa.is
saḳhī se som behtar hai javāb saaf jo deve
kabhī inkār kyā maujib kabhī iqrār kyā baa.is
bigāḌ us ā.ina-rū se nahīñ gar aap kā 'ehsāñ'
banī hairat se kyuuñ tum sūrat-e-dīvār kyā baa.is
Top Urdushayar.com