Rauf Khair

bikti nahin faqir ki jholi hi kyun na ho

Rauf Khair

Hyderabad, Telangana, India

1948
biktī nahīñ faqīr kī jholī hī kyuuñ na ho
chāhe ra.īs-e-shahr kī bolī hī kyuuñ na ho
ehsān-e-rañg ġhair uThāte nahīñ kabhī
apne lahū se khel vo holī hī kyuuñ na ho
sach to ye hai ki haath na aanā kamāl hai
duniyā se khel āñkh-micholī hī kyuuñ na ho
hai āsmāñ vasī.a zamīñ tañg hī sahī
ta.amīr kar kahīñ koī kholī hī kyuuñ na hū
haq par jo hai vahī sar o shāna buland hai
hai varna be-bisāt vo Tolī hī kyuuñ na ho
dariyā kī kyā bisāt ki mujh ko Dubo sake
kashtī kahīñ kahīñ mirī Dolī hī kyuuñ na ho
talḳhī meñ bhī maza hai jo tū ḳhush-mazāq hai
pak jaa.e to bhalī hai nimolī hī kyuuñ na ho
kuchh to hadīs 'ḳhair' samajhne ke kar jatan
har-chand be-maza mirī bolī hī kyuuñ na ho
Top Urdushayar.com