Rauf Khair

aaankhon pa abhi tohmat-e-binai kahan hai

Rauf Khair

Hyderabad, Telangana, India

1948

ā.ankhoñ pa abhī tohmat-e-bīnā.ī kahāñ hai

ḳhud tamāsha hai tamāshā.ī kahāñ hai

ā.īna huī tishnagī pāyābī-e-jāñ se

chehre pa to likkhī hui rusvā.ī kahāñ hai

in jāgtī ā.ankhoñ ko mile dhuup ke bāzār

ai dil vo pighaltī hui tanhā.ī kahāñ hai

suraj hai ki bas nok pe suuī khaḌā hai

ab fursat-e-kam-kam bhī mire bhaa.ī kahāñ hai

ḳhuuñ chūste lamhoñ se kaho haath pasāreñ

ehsās sūrat abhī zardā.ī kahāñ hai

kuchh aur bikhar kar kahīñ pahchān na kho luuñ

is shahr ko miTī mirī raas aa.ī kahāñ hai

vo shaḳhs baḌe chaav se kuchh pūchh rahā hai

aise meñ ai lazzat-e-goyā.ī kahāñ hai

ḳhair apnoñ meñ ik ham nakul aa.e haiñ shā.er

shahzādgī-e-shauq ye ābā.ī kahāñ hai

Top Urdushayar.com