Rauf Khair

koi bhi zor KHaridar par nahin chalta

Rauf Khair

Hyderabad, Telangana, India

1948

koī bhī zor ḳharīdār par nahīñ chaltā

ki kārobār to aḳhbār par nahīñ chaltā

ham aap apnā garebān chaak karte haiñ

hamārā bas to sarkār par nahīñ chaltā

kuchh aur chāhiye taskīn-e-jism-o-jāñ ke liye

hamārā kaam to dīdār par nahīñ chaltā

maiñ jāntā huuñ mujhe kis saath denā hai

maiñ billī ban ke to dīvār par nahīñ chaltā

usuul jitne haiñ laagū hamīñ pe hote haiñ

aur ek yār-e-tarah-dār par nahīñ chaltā

unheñ lihāz nahīñ hai jo merī marzī

to maiñ bhī marzi-e-aġhyār par nahīñ chaltā

na jaane kab tumheñ auqāt apnī dikhlā de

ab itnā zulm bhī nādār par nahīñ chaltā

mire suḳhan bahāna haiñ qāfiya o radīf

maiñ sher kahtā huuñ kuchh taar par nahīñ chaltā

ra.uuf 'ḳhair' pahuñchtā vahīñ hai hir-phir kar

ki iḳhtiyār dil-e-zār par nahīñ chaltā

Top Urdushayar.com