Tanweer Gauhar

maine jab jab bhi tera nam likha kaghaz par

Tanweer Gauhar

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1982
maiñ ne jab jab bhī tirā naam likhā kāġhaz par
yuuñ lagā jaise koī phuul khilā kāġhaz par
ek muddat se mulāqāt ko bechain hai dil
bhej de likh ke mujhe apnā patā kāġhaz par
ḳhat tirā jab bhī koī maiñ ne purānā kholā
to ubhar aayā hasīñ naqsh tirā kāġhaz par
likhne baiThā huuñ tire naam koī ḳhat jab bhī
aañkh se ashk girā sabt huā kāġhaz par
chāra-gar aa ki sivā dard-e-jigar hotā hai
bhej de likh ke mujhe varna davā kāġhaz par
tujh ko iz.hār-e-mohabbat kī qasam itnā batā
bevafā kyuuñ kiyā iz.hār-e-vafā kāġhaz par
kyā hai taqdīr meñ allāh ḳhabar rakhtā hai
kaun paḌhtā hai muqaddar kā likhā kāġhaz par
dād-o-tahsīn kī kānoñ meñ sadā.eñ gaūñjīñ
jab bhī 'gauhar' ne koī sher kahā kāġhaz par
Top Urdushayar.com