huzūr-e-yār  bhī  āzurdagī  nahīñ  jaatī
ki  ham  se  itnī  bhī  duurī  sahī  nahīñ  jaatī
ḳhud  apne  sar  ye  balā  kaun  mol  letā  hai
mohabbat  aap  se  hotī  hai  kī  nahīñ  jaatī
lahū  jalātī  hai  ḳhāmoshiyoñ  meñ  paltī  hai
hikāyat-e-dil-e-sozāñ  kahī  nahīñ  jaatī
ham  is  ko  kyā  kareñ  tum  ko  hai  nā-pasand  magar
zabān-e-hāl  se  barjastagī  nahīñ  jaatī
milā  de  ḳhaak  meñ  ham  ko  hazār  gardish-e-charḳh
magar  bagūloñ  se  āvārgī  nahīñ  jaatī
chaman  vo  ho  ki  bayābāñ  bahār  ho  ki  ḳhizāñ
junūñ  kī  fitrat-e-jāma-varī  nahīñ  jaatī
agar  ġhubār  ho  dil  meñ  agar  ho  tañg-nazar
to  mehr  o  maah  se  bhī  tīrgī  nahīñ  jaatī
mahaktī  rahtī  hai  ġhurbat  meñ  bhī  sharāfat-e-nafs
gul-e-fasurda  se  ḳhushbū  kabhī  nahīñ  jaatī
charāġh  din  meñ  dhuāñ  hī  dhuāñ  sā  lagtā  hai
sharāb  raat  kī  shai  din  ko  pī  nahīñ  jaatī
agar  yaqīn  nahīñ  hai  najābat-e-mai  par
to  laakh  piite  raho  tishnagī  nahīñ  jaatī
shu.ūr-e-husn  muzmir  hijāb  meñ  'vāmiq'
barhana  chehroñ  se  be-chehragī  nahīñ  jaatī