tujh  se  mil  kar  dil  meñ  rah  jaatī  hai  armānoñ  kī  baat
yaad  rahtī  hai  kisī  sāhil  pe  tūfānoñ  kī  baat
vo  to  kahiye  aaj  bhī  zanjīr  meñ  jhankār  hai
varna  kis  ko  yaad  rah  jaatī  hai  dīvānoñ  kī  baat
kyā  na  thī  tum  ko  ḳhabar  ai  kaj-kalāhān-e-bahār
bū-e-gul  ke  saath  hī  phailegī  zindānoñ  kī  baat
ḳhair  ho  mere  junūñ  kī  khil  ga.e  sad.hā  gulāb
varna  koī  pūchhtā  hī  kyā  bayābānoñ  kī  baat
kyā  kabhī  hotī  kisī  kī  tū  magar  ai  zindagī
zahr  pī  kar  ham  ne  rakh  lī  tere  dīvānoñ  kī  baat
rishta-e-yād-e-butāñ  TuuTā  na  tark-e-ishq  se
hai  haram  meñ  ab  bhī  zer-e-lab  sanam-ḳhānoñ  kī  baat
ham-nashīñ  us  ke  lab  o  ruḳhsār  hoñ  yā  sair-e-gul
tazkira  koī  bhī  ho  niklegī  mai-ḳhānoñ  kī  baat
bazm-e-anjum  ho  ki  bazm-e-ḳhāk  yā  bazm-e-ḳhayāl
jis  jagah  jaao  sunā.ī  degī  insānoñ  kī  baat
ibn-e-ādam  ḳhosha-e-gandum  pe  hai  mā.il-ba-jañg
ye  na  hai  masjid  kā  qissa  aur  na  but-ḳhānoñ  kī  baat
phuul  se  bhī  narm-tar  'vāmiq'  kabhī  apnā  kalām
aur  kabhī  talvār  ham  āshufta-sāmānoñ  kī  baat