kahīñ  saaqī  kā  faiz-e-ām  bhī  hai
kisī  shīshe  pe  merā  naam  bhī  hai
vo  chashm-e-mast  mai  bhī  jaam  bhī  hai
phire  to  gardish-e-ayyām  bhī  hai
navā-e-chañg  o  barbat  sunñe  vaalo
pas-e-parda  baḌā  kohrām  bhī  hai
mirī  fard-e-junūñ  pe  ai  bahāro
gavāhoñ  meñ  ḳhizāñ  kā  naam  bhī  hai
na  pūchho  bebasī  us  tishna-lab  kī
ki  jis  kī  dastaras  meñ  jaam  bhī  hai
mohabbat  kī  sazā  tark-e-mohabbat
mohabbat  kā  yahī  in.aam  bhī  hai
nigāh-e-shauq  hai  gustāḳh  lekin
nigāh-e-shauq  kuchh  badnām  bhī  hai
nigāhoñ  kā  tasādum  kis  ne  dekhā
magar  ye  raaz  tasht  az  baam  bhī  hai