ho  rahī  hai  dar-ba-dar  aisī  jabīñ-sā.ī  ki  bas
kyā  abhī  baaqī  hai  koī  aur  rusvā.ī  ki  bas
āshnā  rāheñ  bhī  hotī  jā  rahī  haiñ  ajnabī
is  tarah  jaatī  rahī  āñkhoñ  se  bīnā.ī  ki  bas
tā  sahar  karte  rahe  ham  intizār-e-mehr-e-nau
dekhte  hī  dekhte  aisī  ghaTā  chhā.ī  ki  bas
DhūñDte  hī  rah  ga.e  ham  laal  o  almās  o  guhar
kor  bad-bīnoñ  ne  aisī  ḳhaak  chhanvā.ī  ki  bas
kuchh  shu.ūr  o  his  kā  thā  bohrān  ham  meñ  varna  ham
ahd-e-nau  kī  is  tarah  karte  pazīrā.ī  ki  bas
kyā  nahīñ  kaj-aks  ā.īnoñ  kā  duniyā  meñ  ilaaj
jis  ko  dekho  hai  ajab  mahv-e-ḳhud-ārā.ī  ki  bas
chākrī  karte  hue  bhī  ham  rahe  āzād-rau
dast-o-pā-e-shauq  meñ  hai  vo  tavānā.ī  ki  bas
aah  kyā  karte  ki  ham  aadī  na  the  ārām  ke
choT  ik  ik  gaam  par  albatta  vo  khaa.ī  ki  bas
us  hasīñ  giitī  ke  khul  kar  rah  ga.e  sab  joḌ-band
chand  pāgal  zarroñ  ko  aa.ī  vo  añgḌā.ī  ki  bas
vo  to  kahiye  baat  ki  fursat  na  thī  varna  ajal
pūchhtī  gāv-e-zamīñ  se  aur  paspā.ī  ki  bas
kaun  shā.ir  thā  kahīñ  kā  kaun  dānish-var  magar
daftaroñ  kī  dauḌ  'vāmiq'  aisī  raas  aa.ī  ki  bas