jo  dasht  ḳhvāboñ  meñ  aksar  dikhā.ī  detā  hai
vo  jāgne  pe  mirā  ghar  dikhā.ī  detā  hai
hamārī  ḳhāma-tarāzī  se  bach  ke  rahiye  huzūr
ki  dast-e-mast  meñ  ḳhanjar  dikhā.ī  detā  hai
jo  duur  se  use  dekho  to  chāñd  jaisā  lage
qarīb  jaao  to  patthar  dikhā.ī  detā  hai
sanam  tarāsh  gursana  hai  in  dinoñ  shāyad
ki  har  mujassama  lāġhar  dikhā.ī  detā  hai
na  jis  kī  shakl  hai  us  kī  na  jis  kī  umr  us  kī
vo  mujh  ko  shīshe  meñ  aksar  dikhā.ī  detā  hai
hai  us  kā  maujib-e-tāmīr  koī  jurm  zarūr
jo  sab  se  ūñchā  nayā  ghar  dikhā.ī  detā  hai
rah-e-farār  ḳhalāoñ  meñ  bhī  nahīñ  miltī
bas  ek  gumbad-e-be-dar  dikhā.ī  detā  hai
hai  jis  kī  Thokaroñ  meñ  āb-e-zindagī  'vāmiq'
vo  tishnagī  kā  samundar  dikhā.ī  detā  hai