is  tarah  se  kashtī  bhī  koī  paar  lage  hai
kāġhaz  kā  banā  haath  meñ  patvār  lage  hai
āzād  lage  hai  na  giraftār  lage  hai
dīvāne  ko  dar  āhanī  dīvār  lage  hai
ik  laash  hai  lekin  baḌī  jāñ-dār  lage  hai
shola  sī  koī  chiiz  sar-e-dār  lage  hai
pahchān  lo  us  ko  vahī  qātil  hai  hamārā
jis  haath  meñ  TuuTī  huī  talvār  lage  hai
ḳhāmosh  girāñ-bār  fazāoñ  meñ  ghuTan  sī
ye  to  kisī  tūfān  kī  lalkār  lage  hai
ik  vaqt  vo  thā  jab  rasan-o-dār  meñ  thā  lutf
ab  lutf  bhī  un  kā  rasan-o-dār  lage  hai
din  chaḌhne  lagā  tezī  se  ghaTne  lage  saa.e
raahī  koī  ham  ko  pas-e-dīvār  lage  hai
ik  dā.era-e-fikr  meñ  mahdūd  hai  aalam
har  pā-e-nazar  sūrat-e-parkār  lage  hai
sunñe  meñ  to  ġhazleñ  bahut  achchhī  lagīñ  'vāmiq'
qirtās  pe  ik  aisī  jo  shahkār  lage  hai