dil  toḌ  kar  vo  dil  meñ  pashīmāñ  huā  to  kyā
ik  be-niyāz-e-nāz  pe  ehsāñ  huā  to  kyā
apnā  ilāj-e-tañgi-e-dil  vo  na  kar  sake
merā  ilāj-e-tañgi-e-dāmāñ  huā  to  kyā
jab  bāl-o-par  hī  nazr-e-qafas  ho  ke  rah  ga.e
sehn-e-chaman  meñ  shor-e-bahārāñ  huā  to  kyā
ik  umr  rakh  ke  ruuh  mirī  tishna-e-nashāt
ab  naġhma-e-hayāt  par-afshāñ  huā  to  kyā
jab  mere  vāste  dar-e-mai-ḳhāna  band  hai
sahbā  meñ  ġharq  ālam-e-imkāñ  huā  to  kyā
TuuTe  paḌe  haiñ  sāz-e-mohabbat  ke  taar  taar
ab  shāhid-e-ḳhayāl  ġhazal-ḳhvāñ  huā  to  kyā
aadam  ne  ek  ḳhosha-e-gandum  ko  kyā  kiyā
mujrim  kabhī  jo  bhuuk  se  insāñ  huā  to  kyā
'vāmiq'  kī  tīra-baḳhtī  kā  aalam  vahī  rahā
zulmat-kade  meñ  chashma-e-haivāñ  huā  to  kyā