bulā.e  jaate  haiñ  maqtal  meñ  ham  sazā  ke  liye
ki  ab  dimāġh  nahīñ  arz-e-mudda.ā  ke  liye
azal  ke  roz  hameñ  kaun  se  vo  tohfe  mile
ki  ham  se  dahr  ne  badle  ginā  ginā  ke  liye
vo  vaade  yaad  nahīñ  tishna  hai  magar  ab  tak
vo  vaade  bhī  koī  vaade  jo  mai  pilā  ke  liye
vo  lamha  bhar  kī  milī  ḳhuld  meñ  jo  āzādī
to  qaid  ho  ga.e  miTTī  meñ  ham  sadā  ke  liye
shumār-e-tār-e-garebāñ  meñ  hai  jo  uljhe  hue
vo  haath  bhī  to  hameñ  dījiye  duā  ke  liye
bahut  girāñ  hai  agar  tum  pe  intizār-e-bahār
hamārā  ḳhuun  sar-e-dast  lo  hinā  ke  liye