apnā  ejaaz  dikhā  de  saaqī
aag  se  aag  bujhā  de  saaqī
naqsh-e-bedād  miTā  de  saaqī
ham  ko  āzād  banā  de  saaqī
vo  uThīñ  kaalī  ghaTā.eñ  tauba
ab  to  piine  kī  razā  de  saaqī
jis  se  so.e  hue  dil  chauñk  uTheñ
naġhma  ik  aisā  sunā  de  saaqī
tujh  ko  mustaqbil-e-zarrīñ  kī  qasam
pichhlī  bātoñ  ko  bhulā  de  saaqī
sadr-e-mai-ḳhāna  banāyā  thā  kabhī
ab  jahāñ  chāhe  biThā  de  saaqī
vo  jo  tasbīh  liye  hai  us  ko
mere  aage  se  uThā  de  saaqī
nashshā-e-fikr  abhī  baaqī  hai
ek  jaam  aur  uThā  de  saaqī
qasr-e-auhām  ko  Dhāne  ke  liye
saarā  mai-ḳhāna  luñDhā  de  saaqī
sab  jise  kahte  haiñ  'vāmiq'  'vāmiq'
ham  ko  bhī  us  se  milā  de  saaqī