raat  ke  samundar  meñ  ġham  kī  naav  chaltī  hai
din  ke  garm  sāhil  par  zinda  laash  jaltī  hai
ik  khilaunā  hai  giitī  toḌ  toḌ  ke  jis  ko
bachchoñ  kī  tarah  duniyā  rotī  hai  machaltī  hai
fikr  o  fan  kī  shahzādī  kis  balā  kī  hai  nāgin
shab  meñ  ḳhuun  piitī  hai  din  meñ  zahr  ugaltī  hai
zindagī  kī  haisiyyat  buuñd  jaise  paanī  kī
nāchtī  hai  sholoñ  par  chashm-e-nam  meñ  jaltī  hai
bhūke  peT  kī  Daa.in  sotī  hī  nahīñ  ik  pal
din  meñ  dhuup  khātī  hai  shab  meñ  pī  ke  chaltī  hai
pattiyoñ  kī  taalī  par  jaag  uThe  chaman  vaale
aur  pattī  pattī  ab  baiThī  haath  maltī  hai
ghup  añdherī  rāhoñ  par  mash.al-e-husām-e-zar
hai  lahū  meñ  aisī  tar  bujhtī  hai  na  jaltī  hai
inqilāb-e-daurāñ  se  kuchh  to  kahtī  hī  hogī
tez  rail-gāḌī  jab  paTriyāñ  badaltī  hai
tishnagī  kī  tafsīreñ  misl-e-sham.a  haiñ  'vāmiq'
jo  zabān  khultī  hai  us  se  lau  nikaltī  hai