ḳhalish  sukūñ  kā  mudāvā  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
shikast-e-sāz  meñ  naġhma  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
jise  zamāna  kahe  iztirāb  kā  aalam
vo  zindagī  kā  sahārā  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
sarod-e-bāñg-e-mo.azzin  nahīñ  dalīl-e-sahar
mizha  pe  sub.h  kā  taarā  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
huā  kareñ  tire  kaan  āshnā-e-shor-e-jaras
safar  kā  dil  meñ  irāda  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
ye  maanā  qalb-e-zamīñ  tak  tirī  pahuñch  hai  magar
talāsh-e-auj-e-surayyā  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
hamāre  butkada-e-dil  meñ  DhūñD  to  zāhid
yahīñ  kahīñ  tirā  kaaba  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ