dil  pareshāñ  hai  na  jaane  kis  liye
hashr-sāmāñ  hai  na  jaane  kis  liye
pur-sukūñ  gahrā.iyoñ  meñ  zabt  kī
shor-e-tūfāñ  hai  na  jaane  kis  liye
laakh  ābād-e-tamannā  ho  ke  dil
phir  bhī  vīrāñ  hai  na  jaane  kis  liye
merī  barbādī  pe  merā  har  nafas
zahr-ḳhandāñ  hai  na  jaane  kis  liye
tishna-e-himmat  jo  thā  zauq-e-fanā
aaj  āsāñ  hai  na  jaane  kis  liye
ḳhālī  az  illat  nahīñ  un  kā  karam
mujh  pe  ehsāñ  hai  na  jaane  kis  liye
dekhiye  girtī  hai  ye  bijlī  kahāñ
vo  pashīmāñ  hai  na  jaane  kis  liye
nau-e-insāñ  fasl-e-āzādī  meñ  bhī
pā-ba-jaulāñ  hai  na  jaane  kis  liye