hamāre  mai-kade  kā  ab  nizām  badlegā
ham  apnā  saaqī  badal  deñge  jaam  badlegā
abhī  to  chand  hī  mai-kash  haiñ  baaqī  sab  tishna
vo  vaqt  aa.egā  jab  tishna-kām  badlegā
ye  ulTī  ulTī  havā.eñ  haiñ  vaj.h-e-sust-ravī
havā.eñ  badleñgī  tarz-e-ḳhirām  badlegā
badaltī  rahtī  haiñ  qadreñ  rahīl-e-vaqt  ke  saath
zamāna  badlegā  har  shai  kā  naam  badlegā
ham  apnī  talḳh-navā.ī  meñ  rañg  bhar  deñge
hamāre  saath  hamārā  kalām  badlegā
ye  arsh  o  farsh  kī  tafrīq  kuchh  nahīñ  'vāmiq'
buland  o  past  kā  meyār-e-ḳhām  badlegā